Latest Post

6/recent/ticker-posts

Tehzeeb hafi poetry in urdu images || Haidarpoetry786

 Best Urdu Poetry By : Tehzeeb Hafi 

Hafi Top Famous Urdu Poetry, Tehzeeb Hafi Poetry Text


Tehzeeb_e_Hafi_poetry_image
Tehzeeb_e_Hafi_poetry_image


پہلے اس کی خوشبو میں نے خود پر طاری کی

پھر میں نے اس پھول سے ملنے کی تیاری کی

اتنا دکھ تھا مجھ کو تیرے لوٹ کے جانے کا

میں نے گھر کے دروازوں سے بھی منہ ماری کی


Pehle uski Khushbu Maine Khud per tari ki

Phir Maine us Phool se milne ki taiyari ke

Itna dukh tha mujhko Tere Laut ke janay ka

Maine ghar ke darwazo se bhi muh Mari ki


__________***__________

 

Tehzeeb_e_Hafi_Poetry
Tehzeeb_e_Hafi_Poetry


دِل بھی کیسا درخت ہے حافی


جو تری یاد سے ہرا ہو جائے


Dil bhi Kesa Darakht hai Hafi

Jo Teri yaad se Hara hojaye...


__________***__________


Tehzeeb_e_Hafi_Poetry
Tehzeeb_e_Hafi_Poetry


 جب اس کی تصویر بنایا کرتا تھا


کمرا رنگوں سے بھر جایا کرتا تھا


Jab uski tasveer banaya karta tha

Kamra rango se bhar Jaya karta tha...


__________***__________


Tehzeeb_e_Hafi_urdu_ghazal
Tehzeeb_e_Hafi_urdu_ghazal


تیرا چپ رہنا میرے ذہن میں کیا بیٹھ گیا

اتنی آوازیں تجھے دیں کہ گلا بیٹھ گیا۔۔۔


یوں نہیں ہے کہ فقط میں ہی اسے چاہتا ہوں

جو بھی اس پیڑ کی چھاؤں میں گیا بیٹھ گیا۔۔۔


اتنا میٹھا تھا وہ غصے بھرا لہجہ مت پوچھ

اس نے جس کو بھی جانے کا کہا بیٹھ گیا۔۔۔


اپنا لڑنا بھی محبت ہے تمہیں علم نہیں

چینکھتی تم رہی اور گلا میرا بیٹھ گیا۔۔۔


اس کی مرضی وہ جسے پاس بٹھا لے اپنے

اس پہ کیا لڑنا فلاں میری جگہ بیٹھ گیا۔۔۔


بات دریاؤں کی سورج کی نہ تیری ہے یہاں

دو قدم جو بھی میرے ساتھ چلا بیٹھ گیا۔۔۔


بذمیں جاناں میں نشستیں نہیں ہوتی محسوس

جو بھی اک بارجہاں بیٹھ گیا، بیٹھ گیا۔۔۔ 


Terā chup rehnā mere zehn meñ kyā baiTh gayā 

itnī āvāzeñ tujhe diiñ ki galā baiTh gayā 


yuuñ nahīñ hai ki faqat maiñ hī use chāhtā huuñ 

jo bhī us peḌ kī chhāñv meñ gayā baiTh gayā 


itnā mīThā thā vo ġhusse bharā lahja mat pūchh 

us ne jis jis ko bhī jaane kā kahā baiTh gayā 


apnā laḌnā bhī mohabbat hai tumheñ ilm nahīñ 

chīḳhtī tum rahī aur merā galā baiTh gayā 


us kī marzī vo jise paas biThā le apne 

is pe kyā laḌnā fulāñ merī jagah baiTh gayā 


baat dariyāoñ kī sūraj kī na terī hai yahāñ 

do qadam jo bhī mire saath chalā baiTh gayā 


bazm-e-jānāñ meñ nashisteñ nahīñ hotīñ maḳhsūs 

jo bhī ik baar jahāñ baiTh gayā baiTh gayā...


__________***__________





Post a Comment

0 Comments